Quantcast
Channel: Devnagri script lyrics by Avinash Scrapwala – Atul’s Song A Day- A choice collection of Hindi Film & Non-Film Songs
Viewing all articles
Browse latest Browse all 384

Badlegi ye duniya

$
0
0

This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in other sites without the knowledge and consent of the web administrator of atulsongaday.me, then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day :

4515 Post No. : 16068

“Sanskaar”(1952) was produced and directed by V M Vyas for Sunrise Pictures, Bombay. This social movie had Mumtaz Shanti, Purnima, Veera, Pran, Razi, Shashi Kapoor, Ishwar lal, Mirza Musharraf, Murad, Kalyani, Pappu, Baby Naaz, Indira Mumtaz etc in it.

The movie had seven songs in it.

Six songs from the movie have been covered in the past. That leaves only one song to be covered, the one which appears at number 1 in the HFGK song list of this movie.

Here are the details of the songs of this movie :-

Song Posted On Badlegi, ye duniya ik din badlegi Being covered today
Jeenewaale o matwaale zindagi se pyaar kar 24.07.2018
Andhi qismat kise le chalegi kahaan 15.09.2016
Hanse tim tim tim chhote chhote taare 24.11.2020
Preet nibhaani balmaa tum kya jaano 09.01.2016
Do nainon ne jaal bichhaayaa 26.04.2012
Muhabbat ke jhoothhe sahaaron ne loota 24.11.2010

Here is the seventh and final song from the movie. It is sung by Hridaynath Mangeshkar, then a child. Shailendra is the lyricist. Music is composed by Roshan.

Only the audio of the song is available. I request our knowledgeable readers to throw light on the picturisation of the song.

Lyrics of this song were sent to me by Avinash Scrapwala.

Audio

Song-Badlegi ye duniya (Sanskaar)(1952) Singer-Hridaynath Mangeshkar, Lyrics-Shailendra, MD-Roshan

Lyrics(Provided by Avinash Scrapwala)

badlegi
ye duniya badlegi ee
badlegi ee
badlegi ye duniya
ik din badlegi
badlegi
aasmaan ki bitiyaa dharti
girkar phir se sambhlegi ee
badlegi duniya
ik din badlegi
badlegi
badlegi ye duniya aa

ham bachche laaye hain
apni qismat apni mutthhi mein
ham bachche laaye hain
apni qismat apni mutthhi mein
gud’di mein laal hazaaron
heere bikhre mitti mein
ik din ham bachchon ki toli
chaand sitaare chhoo legi
badlegi duniya
ik din badlegi
badlegi
badlegi ye duniya aa

oonche aasan baithhne waalon
dam bhar dharti par aao
oonche aasan baithhne waalon
dam bhar dharti par aao
jeewan reet seekh lo hamse
ya hamko sikhlaao
jeewan reet seekh lo hamse
ya hamko sikhlaao
har chhoti si baat pe tum
aapas mein lad marte ho
har chhoti si baat pe tum
aapas mein lad marte ho
phailaa itnaa zehar ki tum
ganga jal se bhi darte ho
bachchon ki maasoom nazar
ye reet badal kar dam legi ee
badlegi duniya
ik din badlegi
badlegi
badlegi ye duniya aa

soch liyaa hai
ham bachchon ne
nayaa zamaana kaisaa ho o
soch liyaa hai
ham bachchon ne
nayaa zamaana kaisaa ho o
maata jaisa dil ho jiska
pyaar pitaa ke jaisaa ho o
maata jaisa dil ho jiska
pyaar pitaa ke jaisaa ho
sukh mein jo lori gaaye ae
rote bachchon ko behlaaye ae
sukh mein jo lori gaaye ae
rote bachchon ko behlaaye ae
mel mohabbat mehnat mein
jo jeenaa marnaa sikhlaaye ae
duniya duniya tab hogi
jab hans ke har dukh jhelegi
badlegi duniya
ik din badlegi
badlegi
badlegi ye duniya aa


Viewing all articles
Browse latest Browse all 384

Trending Articles